Dev Foundation- Rehabilitation Center
Jahan Zindagi Phir Se Muskurayegi
Hum jaante hain, jab ghar ka ek sadasya takleef me hota hai, to pura parivar raat bhar so nahi pata.
Dev Foundation, Meerut me hum use daant te nahi, samajhte hain. Yahan hum ek ghar jaisa sukoon bhara mahol, apno jaisa khana-peena, yoga aur roz ki sahi routine ke saath, unhe phir se apne pairon par khada hona sikhate hain. Taaki wo wapas ghar laut kar ek behtar kal jee sakein.
Hamare Wellness Programs
Har din ek better life ke liye structured activities hoti hain
Roz ki Taza Shuruat- Yoga Se
Man ki Shanti ke Liye Satsang
Ghar Jaisa Shuddh Bhojan
Apno ke Sath, Apno Jaisi Baat
Subah jaldi uthna, saath me yoga-exercise, taaki din bhar sharir aur mann dono halka rahe. Sabke liye aasan.
Roz group me baith kar dhyan aur acchi baatein, jisse soch saaf hoti hai aur ghar walo ki yaad ke saath himmat banti hai.
Fresh ingredients se bana hua wholesome aur balanced khana jo body aur mind ko poshan deta hai.
Yahan daanta nahi, pyar se samjhaya jata hai. Parivar ko bhi saath me sahi tarah se sambhalna sikhaya jata hai, taaki ghar lautne ke baad sab kuch behtar ho.


Ek Sukoon Bhara, Ghar Jaisa Din
Sahi Dincharya, Sahi Jeevan
Yahan har din ka samay pehle se tay hai - subah yoga, samay par ghar jaisa bhojan, apno jaisi baat aur group me acchi activities. Is saaf-suthre aur anushasit routine se apne ko apni purani zindagi wapas jeene ki himmat milti hai.
Shant Aur Surakshit Vatavaran
Bheed-bhaad se door, Ved Vyas Puri me hamara centre ek shant jagah par hai. Yahan har apne ko poori privacy aur ghar jaisa apnapan milta hai, taaki wo shanti se apne aap ko samhal sake.
Chahe Din Ho Ya Raat, Hum Saath Hain
Hamari team har samay apno ke saath rehti hai, unka dhyan rakhti hai aur surakshit mahol banaye rakhti hai. Yahan har kisi ko izzat aur samajh ke saath sambhala jata hai.
Hamara kendra saaf, surakshit aur ghar jaisa hai - yahan apno ke liye har chhoti-badi suvidha ka dhyan rakha jata hai.
Aapke Sawalon Ke Jawab
Dev Foundation me kya suvidha milti hai?
Yahan rozana dhyan, yoga, apno jaisi baat aur parivar ke liye sahi rasta bataya jata hai. Ek shant aur surakshit ghar jaisa mahol diya jata hai.
Din ka routine kya rehta hai?
Subah yoga aur dhyan, samay par ghar jaisa bhojan, apas me baat-cheet aur shaam ko indoor khel / satsang. Is saaf-suthre routine se apne ko apni zindagi wapas sambhalne me himmat milti hai.
Kendra me kya-kya suvidha hai?
Saaf-suthre kamre, dining hall, yoga hall, hari-bhari jagah aur har samay dekh-rekh ke liye apni team.
Kya family milne aa sakti hai?
Haan, parivar milne aa sakta hai. Milne ka samay tay karne ke liye hamari team se ek baar baat kar lijiye.
Shuruat kaise karein?
Sabse aasan tareeka hai hamein call ya WhatsApp karein. Hamari team turant apki madad karegi aur bina kisi judgement ke sari baat samjhayegi.
Dev Foundation provides wellness and lifestyle support. The information shared is for general guidance; individual needs may vary. Please seek qualified professional guidance where appropriate.
